Monday, July 28, 2014

Kya mausam aaya hai

(Kya mausam aaya hai - 2
 Purab se mastani purwai chali, khushabu se mehaki hai phulo kee gali
 Git gaye nadiya lehro me hai sargam
 Hai ghata diwani bundo me hai chham chham) - (2)
 Kya mausam aaya hai........

 (Mehlo kee rani dukh se begani lag jayey naa dhup tujhe
 Uda uda jau sabako batayu dhup lage hai chhav mujhe) - (2)
 Kanto se ho jayey panv naa ghayal, kanto pe nachungi bandhke mai payal
 Ghar nahee hai yeh toh kutiya hamari hai
 Yeh teri katiya toh mehlo se pyari hai
 (Kya mausam aaya hai - 2
 Purab se mastani purwai chali, khushabu se mehaki hai phulo kee gali
 Git gaye nadiya lehro me hai sargam
 Hai ghata diwani bundo me hai chham chham) - (2)
 Kya mausam aaya hai........

 (Behte pawan ke ujale gagan ke jee karta hai sath chalu
 Chikani dagar hai girne kaa dar hai tham ke tera hath chalu) - (2)
 Dharti pe bikhare hai os ke moti, yeh teri boli toh sur naye piroti
 Dard kaa o aangan mai chhod ke aayi, kya tujhe jannat kee ronak nahee bhai
 (Kya mausam aaya hai - 2
 Purab se mastani purwai chali, khushabu se mehaki hai phulo kee gali
 Git gaye nadiya lehro me hai sargam
 Hai ghata diwani bundo me hai chham chham) - (2)

 Kya mausam aaya hai.......

No comments:

Post a Comment